Wednesday, July 11, 2012

NEESHAAN

Kaanton par chalte kadmo se
Behta paani jaisa khoon hai
Khoon ke behte inn nehro se
Hazaaron aahein nikalti hai

Har boond bayan karti hai dastaan
Kahi tootey dilon ka thaa makaan
Khushiyon ka beekhraa hua dalaan
Mayoosi mey ruksat huye mehmaan

Gunahon ke bazar mey beek gaya imaan
Iss khoon ke bhee naam they kai tamam
Auro ki haisiyat ney kia isko badnam
Rago mey daudta hua mangta hai ehsaan

Apney hee mulk mey yeh khoon hai mehmaan
Thagta chala hai dhoondne ek naya mukaam
Isko kahi bhee nahi meelta hai araam
Behte chala hai chodte apnaa neeshaan

Kaanton par chalte kadmo se
Behta paani jaisa khoon hai
Khoon ke behte inn nehro se
Hazaaron aahein nikalti hai

-vociferous

No comments:

Post a Comment